Main aisa hoon...Main waisa hoon..
Jaisa bhi hoon...bass waisa hi hoon..
Jaise raat me sitare chamakte hai,
Waise udasi me main nikharta hoon,
Koi farak nahi padta duniya kya kehti hai,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Jab bhi gam ke saye ate hai, main samet leta hoon apne seene me,
Koi farak nahi padta, main gam me doob jau ya beh jau,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Jab akela hota hoon, khud se batein karta hoon..
Koi farak nahi padta, koi sath de ya na de,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Jeevan ke sangharsh me akela hota hoon to kabhi khushi me kisi ke sath,
Koi farak nahi padta, muzh pe koi hase ya roye,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Bas aise hi chalte rahu raste pe, manjil to mil hi jayegi ek din,
Koi farak nahi padta, koi roke ye toke,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Thak bhi jata hoon, girta bhi hoon aur fir sambhal leta hoon..
Koi farak nahi padta, koi hath de ya na de...
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Baadal jab garajte hai to barasne ko bhi waqt lagta hai,
Mai bhi barasna chhahta hoon, bass ek baar garaj ne ki deri hai,
Koi farak nahi padta, waqt rahe ya na rahe,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Manjil pana hai muzhe ek din, bina kisi sahare ke,
Jaise roshani deta hai Jugnu, bina kisi mohtaz ke,
Koi farak nahi padta koi ujala dikhaye ya andhera,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon..
Khol de pankh mere, kehta hai parinda, aur bhi udan baki hai,
Main bhi udna chhahta hoon, pura aasman pada khali hai,
Koi farak nahi padta, dharti ho ya aasman ho,
Kyonki main aisa hoon..Main waisa hoon...
Main jaisa bhi hoon...waisa hi hoon...aur khud ko pasand karta hoon !!!!
@ ...... Muba

Comments